Sunday, July 3, 2011

::: vuaskari.com ::: MUST READ IT



8 AYYATON KA MUJRIB AAMAL:

 

Surah Al imran may 8 aayatain aisi hain aur behshat k darwazay b 8 hain aur en 8 aayaton ko wird karnay se INSHAALLAH behshat k 8 darwazay es k liye khul jein gay (subhanAllah). En aayaton k kalmay ka aik adad 1,24,000 pighambaron ki tariff ishara hai kiu k har aik nabi ka aik kalma ha jese k QUR'AN PAAK may Hazrat Esa (A.S) ko Allah nay kalma farmaya ha jo koi in aayaton ko parhay ga tou isko 1,24,000 gighambaron ki arwah ki tariff se faiz pohanchay ga en aayaton k Asma ay Husna 40 hain aur wo Isam ay Zaat aur Isam ay Sifaat hain esi sub se in aayaton k parhnay walay k liye har aik Isam se es k liye ye parda aur hijaab door ho jaye ga.

 

 Es k elawa har aayat Allah k Mutabarik Isam per khatam hoti ha yani har aik aayat ka aakhri kalma Allah ka mutarbarik Isam hai aur aakhri 8vi aayat Allah k 2 Isam RA'UF aur RAHEEM per khatam hoti hai es se ye matlib nikalta hai k har aik ka anjaam Allah ki Meharbani aur Lutaf k sath hota hai.

 

Ibn e Abaas (R.A) se riwayat ha k aap farmatay hai k ma nay har tarikay se saray QUR'AN SHAREEF ka mutaliya kiya lekin en 8 aayaton se koi dosri aayat Buzurg tar nahi dekhi aur ma nay en aayaton ki fazilat k baray may HAZOOR (S.A.W) se pocha tou Aap (S.A.W) nay farmaya k ye 8 aayatain Allah k khazano may se 8 khazanay hain aur Allah k bay shumaar bhhaydon may se 8 bhhayd hai aur ye aayatain Isam e Aazam se khali nahi es liye jo koi en 8 aayaton ko parha karay ga tou jinaton k tufaan se aur shitanon k shar se mehfooz rahay ga aur es k liye zahir aur batan k rozi k darwazay khul jaye gay aur hargiz hargiz es ko duniya ka koi gham aur runj na honay paye ga aur na esay koi taklif pohanchnay paye gi aur zamanay k baadsha aur deen k buzurg esk madadgaar rahay gay jis kaam ki taraf wo dil lagaye ga aur es k liye koshish karay ga wo kaam eski marzi k mutabak hoga dushmanon aur hasad karnay walo ki badi se mehfooz rahay ga jinnaat b insaan ki marzi k mutabak chalay gay aur wo Allah ki panah may rahay ga aur safar k tumaam khatraat se mehfooz rahay ga.

 

 (SURAH AL-HAJJ PARA NO.17

      AYAAT NO.57 to 64)

 

PARHNAY KA TARIQA

 

Shuru may DAROOD E IBRAHIM 3 baar

Phir YA ALLAHU parhay 11 martba parhay

Phir ye DUA parhay

 

Ya Khairarazikina Ya Aalimu Ya Halimu Ya Aafuwu Ya Ghafuru Ya Samaiyu Ya Bashiru Ya Kabiru Ya Latifu Ya Khabiru Ya Ghaniyu Ya Hamidu Ya Raufu Ya Rahimu Iftah Li Baaba Rahmatika Waj-Alli Min Amri Barajan Wa Makhrajan Birahmatika Ya Arhama-Rahimeen Wa Salallaho Alla Khairi Khalkihi Muhammadin Wa Aalihi Ajma'een.

 

Phir aayaat parhay Surah Hajj aayat no.57 se 64 tak parhnay k baad 15 dafa

Ya Allah hu ki tasbih karay last per dobara 3 martba DAROOD E IBRAHIM

 

Arbi may koi mistake ho gae ho tou maazrat ha Allah muaf Garay mujhe Ameen.


SPREAD IT AS YOU CAN


--
We say, "Be one as Pakistani Nation and grow up for Pakistan's Future". Wish you all the best. Join www.vuaskari.com,
To post to this group, send email to vuaskari_com@googlegroups.com
Visit these groups:
This (Main) Group:http://groups.google.com/group/vuaskari_com?hl=en?hl=en
MIT/MCS Group: http://groups.google.com/group/vu_askarimit?hl=en?hl=en
HRM Group: http://groups.google.com/group/askari_hrm?hl=en?hl=en
Banking Group: http://groups.google.com/group/askari_banking?hl=en?hl=en
Management: https://groups.google.com/group/vuaskari_mgt?hl=en
Marketing: https://groups.google.com/group/vuaskari_mkt?hl=en
MIS Group: http://groups.google.com/group/askari_mis?hl=en

No comments:

Post a Comment